Man ke kissi andruni kone mein ek darr sa laga rehata hai…hamesha…
Ek uljhan… jo sulajhti hi nahi…kahi main wo nahi to???
Aur agar main wo nahi to fir usse main na-pasand to nahi???
Fir chup sa rah jata hun… dil ko behalata hun…
Ki nahi… main to main hun… koi aur nahi…
Lekin shabd yahan saath chor dete hai…
Kuch sochta hun kuch aur hi bolta hun…
Is kush-ma-kush mein bolne ko kuch bachta hi nahi…
Fir soch ke ghode duadte hai…pankh faila kar nikalte hai…
Man ka ek aur pehalu… baareeki se dekhna…
Gaur se sochna… darr ko duur kar dena…
Na kuch samajhna…na kuch dekhna…
Bas… khud ko sambhalna…
Baat yahi khatam… mann ke darwaze band…
Aankhon par patti aur dill mein chuppi…
Na koi dekh sake…na koi sun sake…
Na andar asake… na main bahar ja saku
Deewar… aur sirf ek darwaaza…
Na baat… na mulakat…
Main hun…aur bas main…
1 comment:
dil ke bandh darwaze kholo, aisa na ho ki koi knock karke thak ke vapas chala jaye.....
Post a Comment